Blog Menu

Showing posts with label mera watan mere millat. Show all posts
Showing posts with label mera watan mere millat. Show all posts

Thursday, 7 July 2011

may us din say darta hon

nazar nahi ata kuch be
hm tareeki may jeetay hain
sb sochain maflooj yahan
zindagi barood yahan
lashain gin kay takay nahi
kb say moat pay roye nahi
kb ka dais ko bhool chukay
khud may hm mashghool huway


may us din say darta hon
jb muj say yahya poochay ga
jb ye darti toot rahi te
kia ye ankain ro rahi te
ya bayhis logon ki tarah
tareeki may soo rahi te

                                  may 2012



Saturday, 2 July 2011

choda august (14th august)

ab ki baar ka choda august, muj pay kitna bari hay
mere soch gulamon ke, or yom e azadi hay
may nay jis ko vote dia, us nay muj ko baich dia
muj ko is ki khabar nahi, ye kayse barbadi hay
deen pay chalna mushkil hay, qanoon bna or is ko maan
deen say dhoori us nay mere, rag rag may beta di hay
sood pay he sb bank chalain gay, is bina koye chara nahi
kis nay mere bachpan say, ayse soch bna di hay
may samja ta kay muj say, sara jahan roshan ho ga
batil kay chand katron nay, mere aag buja di hay
may be corruption krta hon, tm b corruption krtay ho
hm dono nay mil kr apni, darti maa he kha le hay
mere dais kay foji he, mere dais kay dushman hain
kis zalim nay dais may mere, ye afwah pela di hay
mere dais ke sarhad par, her din gairo kay hamlay
zara to socho ay logon, ye kitni motti gali hay
sindhi muhajir or pathan, punjab baloch or hazara
 kisi nay kis makari say, qoam mere batwa di hay
amal may qom e mosa hm, baton kay mujahid hain
may nay be jazbat may a kr, nazm ye sunwa di hay
jo be nazm ye sunta hay, wah wah wah wah krta hay
talion ki goonj nay sb say, asli baat bula di hay


ab ki baar ka choda august, muj pay kitna bari hay
mere soch gulamon ke, or yom e azadi hay

                                                                  on august 2011


Monday, 6 June 2011

aik daar lay kr ankhon may

Raat ko jb b sota hon may
aik dar lay kr ankhon may
kal tak watan mera ye pyara
kaysa or kis haal may ho ga
kia subu akhbar may phir kal
koye mot ke surke ho ge
kia is mulk kay logon ki kal
Lashain khoon may doobi hon ge



Such poocho to dar lagta hay
jb b raat ko sota hon may
kal tak pakistan milay ga
ya kay tukray tukray ho ga



subu jo utt kr watan ko paon
to umeed laga leta hon
kay shayed tareeke may kal
raat ko koye roya ho ga
iss dua ko us nay apnay
sajday may piroya ho ga
Aye ALLAH is dais ko mere
bacha kay rakna basa kay rakna


                                       june 2011

Wednesday, 1 June 2011

yahya or abu yahya

jb b bijli jati hay
yahya nend say utt jata hay
or pher ghanton rota hay




or aik may chup sadyon say
chup chap sa soya hon
tareki may khoya hon.....

                                     june 2011

ye mulk hay us ka....

ye mulk nahi hay tera
ye mulk nahi hay mera

ye mulk hay us ka jo is ko, cheer kay gandam kasht kray
is may apna maal charay...
ye mulk hay us ka jo is may, apna khoon shamil kr day
batil ko batil kr day......
ye mulk hay us ka jo sajday may, gir kr is ko pyar kray
dua say is ko paar kray....
ye mulk hay us ka jo is ko, ashkon say sayraab kray
dil ko jo betaab kray.......

ye mulk nahi hay us ka, jo is mulk may rahta hay
ye mulk hay us ka jo is kay, saylabon may bahta hay

                                                           june 2011


Followers

Powered by Blogger.