Saturday, 2 July 2011

may choomon to kis ko

may choomon to kis ko, kay tm sa nahi hay
kbi sochta hon kay choomon may ratain
kay in raaton may tere milti hain bahain
kbi choomta hon may haton ko apnay
kay in haton nay tama hay haat tera
kay in say mila muj ko ahsas tera
kbi arzu se machalti hay dil may
kay may choom lon apnay honton ko khud he
kay in honton nay choomay hain hont tere
kay inhon nay dekay hain nazuk jazeeray
haan ho kay pagal judai may teri
dunya ki dunya may hm goomtay hain
koye tere jaysa hm dhoondtay hain
kbi sochta hon chalo choomtay hain
badal ki narmi, sooraj ki garmi
taron ka darna, shama ka jalna
samandar ki lahron, ka ye shor krna
magar tm sa paya nahi hm nay koye
na honton may apnay, na haton may mere
na sooraj na badal na raton na lahron
na shama ke ashkon, na taron kay dil may
may choomon to kis ko kay tm sa nahi hay

                                                   in omara

No comments:

Post a Comment

Followers

Powered by Blogger.