Friday, 12 October 2012

meri mano

mila gar may nashay may to
mujay tamo

mere seenay pay sar rak do
mujay poocho

aray pagal ye dunya hay
zara samjo

yahan dil toot jatay hain
zra samblo

yahan sab bhool jatay hain
zra jano

agar inkar kr don may
mujay maro

may gar aik jam mangu to
mujay choomo

may gar mangon tmharay lab
mujay roko

magar aysa na krna tm
kbi muj say na darna tm
mujay na chor kr jana
mujay tanha na kr jana
kay sadion say ye tanhai
mujay is haal lay aye

meri mano



mila gar may batakta to
mujay pakro

mera tm haat pakro or
kaho ao

nae rastay pay chaltay hain
chalo niklo

koye hm khwab buntay hain
zara deko

chalo awaz suntay hain
zara sun lo

agar inkar kr dun may
mujay maro

may ghar mangun tmhara dil
mujay day do

may rak don kaan darkan par
mujay roko


magar aysa na krna tm
kbi muj say na darna tm
mujay na chor kr jana
mujay tanha na kr jana
kay sadion say ye tanhai
mujay is haal lay aye

meri mano



No comments:

Post a Comment

Followers

Powered by Blogger.