Monday, 5 September 2011

liknay laga hon tuj ko may

liknay laga hon tuj ko may
apni nazmon gazlon may
dekay kay kia liktay hain
tuj ko apni shayron may

chalo kay likain teri zulfain
badal ka koye tukra
kay jis pay abad sa ho
koye jungle gana gana
us jungle ki raat haseen
us ke hawa may tandak se
us jungle may batkon to
tareeki may kho jaon
gahri nendar so jaon

tere meetay honton ko
shahad likon ya sharbat may
jheel likon ya parbat may
mere hont ki kismat ya
un ki mast shararat may


likain tere chahray ko
poora chand tehama ka
mere dil ki lahron ko
utta utta kr toray jo
muj ko pahlay tar kr day
laykin pyasa choray jo

teri ankon ko likon
jannat ka aik mah khana
jis kay sagar may ho sharab
aysa jis say milay sawab
jo deta ho nasha sureela
or karay na dil ko kharab


likain teri chal hiran
paak likain hm tera man
phool likian teri muskan
teri jan ko apni jaan
teri adat apni adat
teri kismat apni kismat


ye sb to lik jata hon
par may na lik pata hon
wo yahya jo muj say hay
wo yahya jo tuj say hay
jis ki ankain meri hain
laykin roshni teri hay
jis ka chahra tera hay
laykin dekta muj sa hay
kaysay likon ab us ko may
apni nazmo ghazlon may


bas aik misra likta hon
tere husn ki had hay wo


                                         islamabad nights
                                     

No comments:

Post a Comment

Followers

Powered by Blogger.