Monday, 5 September 2011

ajeeb bemari

jis mehfil may beton may
baat yahi bas cheroon may
dais may chori aam huwe
or corruption kaam bani
hakoomat ki na ahli say
ghurbaat sb kay naam rahi
mulk kay aksar log yahan
arsa bhookay rahtay hain
kitnay bachay sardi may
raat ko nangay sotay hain



mahfil may ustaad ki aik din
may nay cheeri jb ye baat
wo tora naraz say ho kr
bolay tora gusay say
chor b day ab tu pagal
mayoosi ki ye batain
or na kr tareek yahan
mere dais ki ye ratain
kbi to kr b lay tu baat
kahi kisi khushhali ki
sara din tu krta hay
gheebat bas zardari ki
waysay baat jo saaf kahon
teri jo ye adat hay
saari wakt guzari hay
be amli ki lanat hy

in fazool mubahis say
kia sb seeda ho jaye ga
ya phir paylay ge mayoosi
sb kuch gumrah ho jaye ga



No comments:

Post a Comment

Followers

Powered by Blogger.